Sunday, January 8, 2012

Akelapan....!!!

Akelapan......
Ek shabd hai?
Ya ek ehsaas....
Athava, hai ye ek mahaul?

Jo bhi ho....
par kisi insaan ko ise parakhne ka, mauka na mile to behtar!
hain samasyayen duniya me aur bhi,
hain ehsaas aur bhavnayen aur bhi,
Unse hi nipate, samay vyateet ho jaye to behtar!

Dar-asal, insaan to ek samajik prani hai,
Aur Insaan ke liye, Akelapan ek bimari anjani hai,
Mano, ye ek cancer hai....
Jo andar hi andar kha jati hai,
Aur antim kshano me hi iski bhayavahta saamne aati hai!!

Durgam kshano me aadmi shayad do aanshu baha leta hai,
Par Akelapan - aapko Sisakne ka mauka bhi kahaan deta hai....!!

In aankhon ka soonapan,
jaane kise dhoondh raha hai,
Khuli hain aankhen,
par kahaan koi dikh raha hai,

Dil kahta hai - Akelapan hai ek saja
Mano, jaise kisi ko akele kaatna hai kalapani,
Na sukh, na dukh,
Na hasi, na aansu,
Na khana, na sona,
Na bolna, na sunana,
Kuchh bhi kisi se bata ya baant nahi sakta,
bas ek akela bhavna-shoonaya insaan
jaise insaniyat ka mashinikaran ho jaye
jaise aadmi, aadmi se robot ban jaye
Cancer kam se kam maar dalta hai
Akelapan - itna dayavan nahi: vo jinda hi tadpata hai
jinda hi radpata hai!!

Ai kaash.....Ai kaash ki hoti khabar,
Akelapan kya hai...
Ek shabd hai?
Ya ek ehsaas....
Athava, hai ye ek mahaul?
Ya hai...ye ek saja???

No comments:

Post a Comment